Friday, September 25, 2009

Un k andaz-e-Karam un pe woh aana DIL ka
Hai woh waqt, woh baatein, woh zamana DIL ka

Naa suna uss ne tawajo se fasana DIL ka
Umar guzri par dard na jana DIL ka

Dil Lagi, Dil ki lagi ban k mita daiti hai
Rog dushman ko bi ya Rub, Naa Lagana Dil ka

Woh bi apna na hoye Dil bi gaya hathon se
Aise aane se tou behtar hai na aana Dil ka

Un ki Mehfil mein "AAMIR JE" un k tabassum ki Qasam
Hum daikte Reh gaye haath se jana DIL ka

No comments:

Post a Comment