Showing posts with label Ghazal Poetry. Show all posts
Showing posts with label Ghazal Poetry. Show all posts

Friday, September 25, 2009

Tussi ki o?
Punjabi o ya pathan o
.
Pepsi o ya sezan o
.
Angle o ya insan o
.
roti o ya naan o
.
police o ya don o
.
Kamzor o ya pehlwan o
.
Chana o ya dhan o
.
tussi jo v o tussi sadi jaan o.
Un k andaz-e-Karam un pe woh aana DIL ka
Hai woh waqt, woh baatein, woh zamana DIL ka

Naa suna uss ne tawajo se fasana DIL ka
Umar guzri par dard na jana DIL ka

Dil Lagi, Dil ki lagi ban k mita daiti hai
Rog dushman ko bi ya Rub, Naa Lagana Dil ka

Woh bi apna na hoye Dil bi gaya hathon se
Aise aane se tou behtar hai na aana Dil ka

Un ki Mehfil mein "AAMIR JE" un k tabassum ki Qasam
Hum daikte Reh gaye haath se jana DIL ka
ab tere mere bich zara fasla bhi ho,
hum log jab milain tu koi dosra b ho,

tu janta nahi meri chahat ajeeb hy
mujh ko mana raha hy kbi khub khafa b ho,

tu bewafa nhi magar bewafai kr
us ki nazar main rehny ka kuch sila b ho,

pat jhar k tote hoye pataon k sath sath
musam kabhi tu badlay ga yeh asra bhi ho,

chup chap us ko beth k dekhon tamam raat
jaga hoa b ho koi soya hoa bhi ho,

su k liye tu main nay yahan tak duwain ki,
meri tarhan say usay koi chahata bhi ho.......!!!
Dil mein hai wafa ki talab, lab pe sawaal bhi nahin,
Hum hein Hisar-e-dard mein, us ko khayaal bhi nahin,

Woh jo Ana-parast hai, mein bhi Wafa parast hoon,
Uska jawaab bhi nahin, meri misaal bhi nahin,

Usko zabaan de chukay, dil ka jahaan de chukay,
Ehd-e-wafa ko torna apni majaal bhi nahin.
Ajab shaam khari hai kahen se aa jao

Bari udas ghari hai kahen se aa jao

Kisi se milna aur mil k bichar jana

Saza ye itni bari hai kahen se aa jao

Bara kathan hai ye hijr ka mosam

Judai bol pari hai kahen se aa jao

Zmana jise smjhta ha moteon ki chamak

Wo aansuon ki larri ha kahen se aa jao